Standard (EADGBE)
Awaarapan, banjarapan,
Ek halaa hai sinay mein.
Har dam har pal bechaini hai -
Kaun balaa hai sinay mein?
Verse 1
Is dharti par jis pal suraj,
Roz saveere ugta hai...
Is dharti par jis pal suraj,
Roz saveere ugta hai -
Apne liye to thik usi pal,
Roz dhalaa hai sinay mein.
Awaarapan, banjarapan,
Ek halaa hai sinay mein.
Verse 2
Jaane yeh kaisi aag lagi hai,
Jis mein dhua na chingari...
Jaane yeh kaisi aag lagi hai,
Jis mein dhua na chingari -
Ho na ho us par kahin koi,
Khwaab jalaa hai sinay mein.
Awaarapan, banjarapan,
Ek halaa hai sinay mein.
Verse 3
Jis raste par tapta suraj
Sari raat nahi dhalta...
Jis raste par tapta suraj
Sari raat nahi dhalta -
Ishq ki aise raha guzar ko
Hum ne chuna hai sinay mein.
Awaarapan, banjarapan,
Ek halaa hai sinay mein.
Verse 4
Kahan kise ke liye hai mumkin,
Sab ke liye ek sa hona...
Kahan kise ke liye hai mumkin,
Sab ke liye ek sa hona -
Thoda sa dil mera bura hai,
Thoda bhalaa hai sinay mein.
Awaarapan, banjarapan,
Ek halaa hai sinay mein.